Calcium ki kami ka ilaj in urdu - Healthy Tips


Proper diet and exercise to keep bone and joints strong restriction is necessary. Use milk, eggs, and butter in your diet. But not moving weight and overweight individuals avoid eggs and milk. Overweight people should take tablets of calcium and vitamin D according to Doctor’s advice. So that vitamin need to be fulfilled and does not to gain excess weight. You must do Exercise, brisk walk, jogging and cycling must. Healthy food and life can save you from every disease. Women especially must take care of your diet the success of the whole family's health with their health needs. More detail read in fillowing.


Haddiyon ka Dard, Joron ka Dard

Tkleef koi bhi ho insan ko hila kar rakh deti hai, khas tor par aise dard jo mustaqil hote rehein jin se jism ka jor jor dukhta hai. Aik mosalsal aizyat ki kaifyat mein mubtila rakhte hain. Pakistani khawateen mein calcium aur vitamin D ki kami se hone wale dard bil khasoos kamar, ghutne aur jism ke degar hisson ke joron ke dard aam bimari ki shakal ikhtiyar kar gaye hain. Pain killers aur tail se masaj waqti aaram hai yeh is qisam ke dard ka shad e bab nahi bn skte. Yeh ilaj qdre mehnga hone ki wajah se log gharilo desi ilaj se aise dard mein shafa hasil karne ki koshish karte hain. Haddiyon se mutalliq chand ahum maaloomat mandar jah zel hain.

Orthopedic kin amraz ka ahata karta hai?

Yeh field kafi wasi hai is mein pure bazu tang, kulhe, rerh ki haddi ke amraz ka ilaj kia jata hai. Jaise chot lagne ya kisi hadse ke pesh aane ki surat mein haddiyan toot jati hain in masail ka ilaj bhi kia jata hai is ke elawa umer ke sath jor kharab ho jate hain ya kisi bimari ki wajah se kharab hone wale joron ka ilaj bhi orthopedic surgeon karta hai. Hath, bazu, tang, kolhein ya rerh ki haddiyon mein hone wale sartan ka ilaj bhi orthopedic karte hain. Chote bachon mein haddiyon ka terha pan bhi deal kia jata hai.

Asia khwateen mein joron (ghutne, kamar) ke amraz barhne ki wajoohat kia hain?

Hamare mulk mein khawateen o hzrat mein jism ki haddiyon mein dard ki sb se ahum wajh vitamin D ki kami hai. Yeh aksaryat mein mojood hai aur is ki kami door karne se haddiyon ki tkleef mein kafi had tak kami ho jati hai. Vitamin D ka sb se ahum zariyah dhoop hai chunkeh aik bari taadad gharon aur offices ke andar reh kar kaam karti hai traveling bhi bazaryah car, riksha , taxi, bus ki jati hai. Is wajah se bhi vitamin D ki darker mqdar haddiyon ko nahi mil pati. hamare yahan cycle par safar karna ya paidal kayi mile chalne ka rawaj nahi hai. Yeh misaghal majmuyi insani sehat par behtareen asrat murattab karte hain. Mahol ki aaloodgi bhi is vitamin ka aik sabab hai kiun keh suraj ki ultraviolet maholyati aalodgi mein hi jazb ho jati hain yani hum tak nahi puhanchti keh jism vitamin D banaye.

Kia khawateen mein haddiyon ke dard ki ahum wajah in ka gharon mein rehna , suraj mein na nikalna hai?

Sirf yeh wajah nahi hai, buhat sare mardon mein bhi vitamin D ki kami hoti hai. yahan tak keh in mazdoron ko bhi is ki kami ki shikayat hoti hai jo mosalsal dhoop mein kaam karte hain. Ghiza mein bhi vitamin D ki kami ho gayi hai. Butter, ghee aur vitamin D ke zariye jism ko yeh ahum Vitamin milta hai lekin milawati ghizayein aur nakafi ghizaiyat ki wajah se asal haqaiq tak puhanchna fil hal mumkin nahi.

Kia calcium ki kami bhi is kisam ki dard ka sabab bnti hai?

Haddiyan chun keh calcium se bnti hain, vitamin D ki kami bazat khood nqsan nahi punchati bal keh calcium ka haddiyon mein na jama hone ki wajah se vitamin D k asar nazar aata hai. Medah, aur aant se calcium ko jazb karna aur phir khoon se calcium ko haddiyon ke andar puncha na vitamin D ka kaam hai. Is vitamin ki kami se calcium bhi kam hone lgta hai. Yani calcium ki kami bhi haddiyon ki kamzori, toot photo aur dard ka sabab banti hai is ki kami ki wajah doodh aur
Calcium ki kami ka ilaj in urdu - Healthy Tips Calcium ki kami ka ilaj in urdu - Healthy Tips Reviewed by Unknown on 22:54 Rating: 5

1 comment:

Powered by Blogger.