Qabz ka ilaj urdu قبض کا علاج - Healthy Tips


Dard jo b hi ho bura hy. Bemari jis bhi noeat ki ho takleef deh hy. Qabz (kabz) yani constipation ik aam bemari hy. Hr doosra shks qabz mei mubtla nzr ata hy. Pait mein drd, shdeed uljhn or muslsl tkleef is ki kuch chida chida nishania hein.  Qabz ko door karne ki kbhi koi nuskha or kbhi koi dwa mgr kbz hy ky tootny ka naam hi nhi leta. Agr kuch ahtiati tdabeer ikhtiar ki jein or desi totkay istimal kyey jein to kbz ka ilaj kya ja skta hy. Muslsal kabz sy aantein sooj jati hein or pakhany mein khoon bhi ana shru ho jata hy. Kabz ke ilaj ke liye ghaza ka sehi intekhab aur khanay peene ki routine bohat  aham hai .Qabz ke chand muntakhib totkay pesh hain.
Neem grm doodh mein ghee ya mkhn ik chmch mila kr pyein kbz toot jayey ga
Ispghol ka chilka raat bhtr pani mein bhigo dein wo phool jaye ga subha neem grm doodh mein mila kr pyein kbz door ho jye ga.
Subha nehaar moon neem grm pani mein ik chmch shehd yani honey or ik lemoo ka juice nchor kr peenay sy kbz door ho jata hy
Mulathi ko rozana chubany sy kbz nhi hota
Arandi ka tail kabz yani constipation main faida deta hai. Lakin iss ka mustakil istemal acha nahin.
Dhood, chawal, gosht, fast food aur meetha (cake weghaira)  qabz main achay nahin hotey – qabz k duran inka istemal kam aur phalon aur sabzion ka istemal ziada karen.
Dry fruit yani sookha mewa khhas tor pr injeer leny sy kbz nhi hota, or agr ho to khtm ho jata hy
Sufaid chawal ky bjayey brown chawal khya jaye
Sony sy pehle rm doodh mein isbgol ka chlka mila kr pya jye, yeh kbz kusha hota hy
Angoor khany sy pruna kbz bhi door hota hy. Yeh kbz kusha or maidy ky lyey nhiat mufeed hein
Ginger juice yani adrk ky ark ko naaf ky ird gird mlny sy constipation door hoti hy…maheena bhr istimaal krein or constipation sy saree zindgi ky lyey chutkara hasil krein
Apni diet ko bdlny sy constipation yani kbz theek ho jata hy. Koshih krne chahyey ky ghiza mein kchi sbzion ko shamil kya jye
Behtr hy ky subha uthty hi 4 sy 5 glass neem grm pani pya jyey taky kbz na ho or chehra bhi shadab ho jayey
5 kishmish doodh mein raat bhr ky lyey bhigo dein subha pehly behgi kishmish khein or phr doodh pein
Sonf ko pani ya doodh mein daal kr ubaal lein. Is ko peeny sy chronic constipation bhi khtm ho jayey gi
Bcho mein constipation ki bemari aam hy. Bcho ko neem grm pani mein china mila kr plein. Kbz theek ho jyey ga. Cheeni kbz kusha hy
Gribewater bchon ko dety rehny dia jayey taky kbz na ho
Adha pupeeta nashty sy pehly khany sy kbz door ho jata hy.
Anaar khany sy bhi kbz khtm hot hy or maida bhi sahee kam krta hy.
2 kaley yani bnanas khany sy kbz khtm ho jata hy. Kela hmesha do hi khany chein. Ik kela kb krta hy. Kaley ka milk shake, ya kaley ko dhoodh ke sath khana aur ziada behtar hai.
Khana pkaty huey us mein adrk zroor dalein , adrk powder ky bjyey taza adrk pees kr dalein. Adrk kbz kusha hy or seht ky lyey niaht mufeed hy. Han ji or khany ki shaan bhi brhata hy.
Gobhi qabz khatam karne k liye mofeed hai. Khas tour par agar issy ziatoon k tail maina pakaya jay tu yeh aur bhi ziada mofeed hai.
Nashpati , akhrot aur strawberries bhi qabz se nijat k liye mofeed cheezain hain.
Khanay main daalon kon istemal bhi ziada karen.
Pani ki kami bhi qabz ka baes ban sakti hai. Iss liye iss baat ko yaqni banaen k pani ki kami na ho. Khas tour par sobah uthte sath hi pani zaroor peeyen.
Nashpati, gajar, lobiya aur aaroo qabz yani constipation dur karne k liye mofeed cheezain hain.
10-15 minutes tez walk karna bhi kabz aur maiday ki takalfon k liye faidamand hota hai
Chips, nimko waghairah type ki cheezen qabz kartee hain, inn ka istemal na karen.
Rafae hajat k liye aik time muqarar karen aur koshish karen ke uss  time ki pabandi karen. Hajat main jald bazi na karen.
Qabz ya constipation ka aik totka ya ilaj ye bhi hai k chand danay anjeer (fig) khaen chandd dinon main behtari mehsoos ho gee.
Imli qabz (Constipation) aur stomach k liye mofeed hoti hai.
Qabz yani constipation ki kai wajoohat ho sakti hain  jin main depression yani zehni pareshani, hamal ya pregnancy , baaz adveyaat jaisa k painkillers ka istemal aur dhoodh dehi ka ziada istemal weghaira ziaada aam wajoohat hain.
http://www.asian-women-magazine.com/fun/urdu-totkay/desi-totkay-for-constipation-qabz-in-urdu.php

qabz ka ilaj tib e nabvi,
Qabz ka ilaj urdu قبض کا علاج - Healthy Tips Qabz ka ilaj urdu قبض کا علاج - Healthy Tips Reviewed by Unknown on 22:25 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.