Khoon ki kami ka desi ilaj 206- Healthy Tips
Khawateen mein iron ki kami se hone wala arzah anemia buhat aam hai aur is mein buhat tezi se izafah ho raha hai. Agar is ki tashkees aur ilaj mein bila wajah takheer ki jaye to is se masail ghambheer ho skte hain to aaiye sb se pehele yeh dekhte hain kay anemia hai kia?
Anemia dar asal vo tibbi kaifyat hai jis mein hamare khoon mein surkh khalyaat zarorat se kam ho jate hain. In surkh khalyaat ko hemoglobin bhi kehte hain. Khoon mein red khalyat ki kami yun to kayi asbaab hote hain lekin ahum tareen sabab, jo buhat aam hai vo iron yani folaad ki kami hoit hai. Khoon kay surkh khalyaat ki tashkeel mein iron ahum kirdar ada karta hai. Agar jism ko is ki zaroorat kay mutabiq iron na mile to yeh kam moqdar mein khoon ki surkh khalyaat banaye ga aise khalyaat banaye ga jo buhat chote hon gay. Yeh kharabi iron deficiency anemia kehlati hai. Khoon kay yeh surkh khalyaat oxygen se labreez hote hain aur hamare jism kay aik aik khalye tak oxygen punchate hain. Anemia ki auwaleen alaamat mein thakawat ka buhat ziadah ahsaas hai aur yeh thakawat ya susti is wajah se hoti hai keh hamare jism kay mukhatalif aaza ko sehat mand khoon kay zariya vo ghizaiyat aur oxygen farahum nahi ho rahi hoti hai jin ki inhein munasib andaz mein kaam karne kay liye buhat ziadah zaroorat hoti hai.
Iron aur Khoon mein Talluq
Khoon kay yeh surkh khalyaat hamari haddiyon kay gude mein taiyar hote hain. Jb yeh phepre (lungs) mein puhanchte hain to wahan apne andar oxygen jazb kar kay carbon dioxide mein kharij kar dete hain jo hamari sans kay raaste bahir nikal jati hai. Khoon kay yeh surkh khalyaat hamare jism mein teen se char mah tak gardish karte rehte hain jis kay baad purane khalyat ki jagah naye khalyaat le lete hain. Iron khoon kay surkh khalyaat ka ahum jazu hota hai. Iron kay be ghair khoon maosar tor par apne andar oxygen jazb karne kay qabil nahi hota. Hamara jism amooman hamari khorak se iron hasil karta hai ealwah azeen khoon kay purane khalyaat mein mojood iron ko bhi vo istemaal karta hai.
Khoon (Iron) ki Kami kay Asbaab
Anemia is waqt lahaq hota hai jb jism mein iron ki kami ho jati hai aur iron ki kami kay mukhtalif asbaab ho skte hain. Maslan jism se khoon kay surkh khalyaat aur iron itni ziadah mqdar mein zaya ho rahe hain keh jism is kami ko pura nahi kar paraha hai.
Jism mein koi aisi kharabi paida ho gayi hai jis se vo iron jazb karne se qasir hai.
Jism iron jazb karne kay qabil hai lekin hum aisi ghizayein munasib mqdar mein istemaal nahi kar rahe hain jis mein folaad wafer hota hi.
Hamare jism maamool se ziada iron ki zaroorat ho rahi ho. Yeh zaroorat khass tor par khawateen ko is waqt pesh aati hai jb vo umeed se hon ya bache ko apna doodh pila rahi hon.
Kawateen mein Khoon ki Kami
Bil khasoos khawaeen mein iron ki kami is waqt dekhi jati hai jb mahana nizam mein garbar se khon ka akhraj maamool se barh jata hai lehaza yeh baat buhat ahum hai keh doran ayam vo sehat bakhsh ghizaon par tawajjah dein takeh khoon kay sehat mand surkh khalyaat tiyar ho sakein. Iron ki kami khawateen ki aik poshidah biamari hai jo baloghat kay sath ayam ki ziadti ya be qaidgi, ghizaiyat bakhsh khorak se mehromi aur tarz zindagi mein manfi tbdilyon ki wajah se hoti hai.
Doran hamal bhi aksar anemia ki shkayat samne aati hai is liye aksar o beshtar haamlah khawateen kay blood test ki zaroorat hoti hai takeh yeh dekha ja sake keh khoon mein hemoglobin ki moqdar kia hai. Is qisam ka pehla test hamal kay 12 win hafte mein kia jata hai.
Anemia ki Degar Wajoohat
Khoon (Iron) ki kami se anemia kay aur bhi asbaab ho skte hain maslan ghizayi nali, medah ya qolon ka sartan, ghizayi nali kay nichle hisse mein khoon ka rsayi, spreen aur joron kay dar mein kami kay liye dawaon ka taweel arse tk istemaal jin ki wajah se aanton aur mede mein khoon rsne lgta hai. Aanton ka ulcer, bawaseer aur hemophilia ki wajah se bhi khoon kay surkh zarrat km ho kste hain. Baaz amraaz maslan celiac aur crohn's disease, gastric high pas surgery aur tezabyat door karne wali aisi golyon ka buhat ziadah istemaal jis mein calcium bhi shamil ho, ghiza mein shamil iron ko jism mein jzb hone se rok deta hia.
Khoon ki Kami ki Alamat
Pehli baat to yeh hai keh anemia bajaye khood bimari nahi hai balkeh amarz ki aik alamat hai. Doosri baat yeh keh iron ki kami se hone wali anemia ki motaddid alamatein ho skti hain, jin ko khawateen khas tor par sanjeedgi se nahi letin mslan jild ki surkhi aur shadabi ka khatmah aur rungat phiki parta, sar chakkar aana, ghunudgi, kamzori thakawat, bhook ur jana aur dharkan tez hona, anemia ki waza alamtein ho ksti hain. Elawah azein sar mein dard ghabrahat, yaad dasht kamzor hona, kisi cheez par towajjah markooz karne mein dushwari aur kaam mein dil na lgna ya kharab kar kardagi dekhana bhi is ki wajah se ho skta hai. Agar khatoon hamlah hain aur anemia ka shikar hain to is tarh na sirf vo hood ko balkeh apne hone wale bache ko bhi khatre se do char kar rahi hain. Lehaza behtar yahi hai keh vo istqrar se pehle hi anemia kay hawale se apne doctor se mashwarah karein aur is kay mashware par amal bhi karein.
Anemia ki Tshkhees
Yeh janna buhat ahum hai keh anemia ki wajah kia hai. Is mqsad kay liye khoon kay mukhtalif test kiye jate hain. Aik sadah blood test count yeh tshkhees kar skta hai keh motalqah fard anemia mein mubtila hai ya nahi. Elawah azeen doctor family history bhi maloom kar skte hain aur mareez ya marizah ka jismani muainah bhi kia ja sakta hai. Sangeen noiyaat kay anemia mein kuch degar test bhi liye ja skte hain jb keh anemia ki buhat bigri huyi halat mein inteqaal khoon ki zaroorat hoti hai lekin yeh har aik kay lie zaroori nahi hai.
Khoon ki Kami ka Ilaj
Khoon (Iron) ki kami se hone wale anemia ka ilaj iron sepliment (tablet, syrup, capsule ya injection ki surat mein) aur in ghizaon se kia jaskta hai jin mein folaad wafer mqdar mein hota hai. Aisi ghizaon mein chiken, surkh gosh, kaleji, (is mein iron ki mqdar sb se ziadah hoti hai) dalein, phalyan, anday (bilkhasoos zrdi) machli, soya been sabit anaj se bani roti , jo ka dalyah, kishmish, aloo Bukhara, khoobani, palak aur degar sabz patton wali sabziyan shamil hain. Sehat bakhsh khorak kay elawah tarz zindagi bhi motahrik honi chahiye. Aur fikar aur pareshani se door rehna chahiye, is tarah aaindah bhi anemia se bachao mumkin hai.
Tags: anemia in urdu, anemia treatment in urdu, khoon ki kami ka ilaj, khoon ki kami ka ilaj in hindi, khoon ki kami ki alamat, iron ki kami
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
Khoon ki kami ka desi ilaj 206- Healthy Tips
Reviewed by Unknown
on
19:17
Rating:
No comments: